::: Haaye us chaar girah kapde ki kismat “Ghalib”
Jis ki kismat mein ho aashiq ka girebaan hona :::
::: Ye na thi hamari kismat ki visaal-e-yaar hota
Agar aur jeete rehte yahi intezaar hota :::
::: ‘Ghalib’ bura na maan jo waaiz bura kahe
Aisa bhi koi hai ki sab achha kahein jise? :::
::: Dil-e-nadaan tujhe hua kya hai
Aakhir is dard ki dawa kya hai :::
::: Har ek baat pe kehte ho tum ki tu kya hai
Tumhi kaho ki ye andaaz-e-guftugoo kya hai :::
::: Rone se aur ishq mein be-baak ho gaye
Dhoye gaye ham itne ki bas paak ho gaye :::
::: Un ko dekhne se jo aa jaati hai mun’h par raunak
Wo samjhte hain ki beemar ka haal achchha hai :::
One of the Best is:
:::Wo aaye ghar mein hamaare khuda ki fazilat hai
Kabhi ham un ko kabhi apne ghar ko dekhte hain :::
Comments
Post a Comment